Monday, April 13, 2020

حضرت محمّد صلی اللہ علیہ و سلم کی سیرت مبارک

HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA SALLAL LAAHU ALAIHI WA SALLAM KI SEERAT .

PAIDAISH SAY 40 SAAL TAK.

Quraish Makka Mukarramah ka ek mashhoor qabila hai jo Ismail a.s . ki aulaad main say hai, qabila quraish main kayee baday baday khandaan thay un main ek khandaan Bani Hashim ka tha, Hashim apnay khandaan main baday muazzaz, sakhee aur mehman nawaz shaks thay, Hashim kay betay Shaiba hai jo abdul Muttalib say mashhoor huay, Abdul Muttalib kay betay Abdulllah hai, Abdullah apnay baap kay mehboob betay thay unki shaadi qabilay quraish hi kay ek baday gharanay main huyi inki biwi ka naam Aamina tha, Hazrat Bibi Aamina kay ghar ek bachcha paida hua jisnay andhayri duniya ko ujalay main badal diya Arab ki sooti bastiyon ko jaga diya, yehi woh bachcha hai jis ko duniya MUHAMMAD UR RASOOLUL LAAH SAWS kay naam say yaad karti hai, Arab kay dastoor kay mutabiq daayi Haleema nay Aap SAWS ko doodh pilaya. Aap SAWS jab 6 saal kay huay to aap SAWS ki walidah ka inteqaal hogaya aur aap SAWS kay us duniya main tashreef laanay say pahlay hi aap kay walid ka inteqaal hogaya tha aur aap 8 saal 2 mahinay 10 din kay huay to dada Abdul Muttalib ka bhi inteqaal hogaya. Phir aap SAWS kay chacha Abu Talib kay saath Mulk e shaam ka pahla safar kiya.Quraish kay loog aap SAWS ko ameen aur sadiq kehtay thay, isliye aap SAWS amanatdar aur sachchay thay Hazrat e Khadija (R.A) nay aap SAWS ko maal tijarat day kar mulk e shaam rawana kiya. aap SAWS nay poori amanatdari say tijarat ki aap SAWS kay akhlaq say woh bay had mutasir huyi , kuch arsa kay baad Hazrat e Khadija (R.A) nay nikaah ka paighaam bheja , aap SAWS na manzoor farmaya, nikaak kay waqt Huzoor SAWS ki umar 25 saal aur Hazrat 3 Khadija ki umar 40 saal thi, aap SAWS kayee- kayee din ka khaana - paani lay kar ek pahaad kay ghaar jis ka naam ghaar e hira tha tashreef layjaatay thay aur wahan Allah ki ibadat kartay thay.



No comments:

Post a Comment